ab aur chalne ka is dil men hausla hi na tha
ki shahr-e-shab men ujale ka sha.iba hi na tha
main us gali men gaya le ke zo.am-e-rusva.i
magar mujhe to vahan koi janta hi na tha
gudaz-e-jan se liya main ne phir ghazal ka suragh
ki ye charagh to jaise kabhi bujha hi na tha
koi pukare kisi ko to ḳhud hi kho jaa.e
hua to hai magar aisa kabhi suna hi na tha
kise kahen ki rifaqat ka daagh hai dil par
bichhaḌne vaala to khul kar kabhi mila hi na tha
musafiron ko ka.i vahime satate hain
Thaharte kya ki darichon men to diya hi na tha
damak uTha tha vo chehra haya ki chadar men
ki jaise jurm-e-vafa us ka mudda.a hi na tha
hamare haath faqat ret ke sadaf aa.e
ki sahilon pe sitara koi raha hi na tha
Leave a Reply