dastak deti sirf hava ho aisa bhi ho sakta hai
der se koi dar pe khaḌa ho aisa bhi ho sakta hai
shaḳh-e-arman suuni hai to kya ilzam baharon par
phuul kisi ne toḌ liya ho aisa bhi ho sakta hai
ek taghaful-parvarda to ḳhugar-e-gham ho jaata hai
lutf-o-karam se dard baḌha ho aisa bhi ho sakta hai
aadhi raat hai band paḌe hain shahr ke saare darvaze
koi kivaḌa ab bhi khula ho aisa bhi ho sakta hai
des paraya log para.e us se kya hota hai ‘shakeb’
tum ko koi DhunDh raha ho aisa bhi ho sakta hai
Leave a Reply