juda bhi ho ke vo ik pal kabhi juda na hua
ye aur baat ki dekhe use zamana hua
na puchh mera pata mauja-e-hava huun main
bhala hava ka bhi koi kabhi Thikana hua
har ek samt sahife khule paḌe the yahan
tira nasib ki tu harf-ashna na hua
panah milti kise meri kibriya.i se
ḳhuda ka shukr main banda hua ḳhuda na hua
is apni khoj men kya kya khule na bhed magar
main huun bhi ya ki nahin mujh pe aa.ina na hua
nida-e-ghaib thi teri sada thi dhaḌkan thi
mire shu.ur se itna bhi faisla na hua
shajar to raah ka saaya hain un ko kya malum
kahan se aaya musafir kidhar ravana hua
faqir ho ke liya tu ne kya ‘bashir’ ki jab
galim-posh bhi tu ho ke ba-safa na hua
Leave a Reply