asman-e-yas par khoya sitara dhundhna
hai dil-e-azurda ko chehra tumhara dhundhna
bahr-e-hasti se kahun ik pal zara ik pal thahar
ek ahista qadam bas hai kinara dhundhna
is gham-e-dauran ki tariki men ai jan-e-sahar
dil hamara kho gaya hai dil hamara dhundhna
ajnabi chehron ke pichhe hai chhipi rah aatma
un nazaron se udhar hai ik nazara dhundhna
ai shab-e-gham chhod de daman-sara hai ab mujhe
niind se uthna vo khvabida sharara dhundhna
ruuh par bhari raha bar-e-hayat-e-sharmsar
karvan men ab na tum ham ko dobara dhundhna
rah-e-nau par gamzan ai shahsavar-e-tez-rau
barg-e-gor-e-kohna men ik istiara dhundhna
vo taalluq tujh se hai dil ko ki ai marg-e-aziz
raah men ankhen bichha tera ishara dhundhna