• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mere miTane Ki Tadbir Thi Hijab Na Tha

Mere miTane Ki Tadbir Thi Hijab Na Tha

mire miTane ki tadbir thi hijab na tha

vagarna kaun se din husn be-naqab na tha

agarche nazkash-e-esaghar-e-sharab na tha

ḳhumar-ḳhane men mujh sa koi ḳharab na tha

khula tilism-e-tamanna to khul gaya ye bhi

ki ik fareb-e-nazar tha tira shabab na tha

ḳhayal-e-dost tiri jalva-tabiyon ki qasam

jo tu na tha miri duniya men aftab na tha

tire firaq ki raten thiin is qadar maghmum

ki dagh-e-ḳhatir-e-mahzun tha mahtab na tha

bura ho nala-e-paiham ka kuchh dinon pahle

ḳhamosh raat ke dil men ye pech-o-tab na tha

nigah milte hi ghash kha ke gir paḌin nazren

thi ek barq-e-mushakkal tira shabab na tha

azal ke din se hain ham mast-e-jalva-e-saqi

hamare samne kis roz aftab na tha

kuchh apne saz-e-nafas ki na qadr ki tu ne

ki is rabab se behtar koi rabab na tha

dil-e-ḳharab ka ‘ehsan’ ab ḳhuda-hafiz

ḳharab tha magar aisa kabhi ḳharab na tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Koi Achchhi KHabar Aati Nahin Hai

poet

Adhura Hi Rahe Har Rasta To

aanis-moin

Bahar Bhi Ab Andar Jaisa Sannata Hai

dua-ali

Jab Barish Barasti Hai

poet

Khwabon Ke Mahal Tut Ke Gir Jate Hain Akasr

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet