ye kaj-ada.i ye ghamza tira kabhi phir yaar!
ki tera shahr naya aur main musafir yaar!
tu aur kuchh na sahi, dost to hai aḳhir yaar!
dukhi raha hai bahut aaj tera sha.ir yaar!
kahan ka lams, kahan ki havas, kahan ka visal
taḌap raha huun tiri hamdami ki ḳhatir yaar!
sambhal bhi jaata tha dil tere hijr men, ya.ani
raha huun main bhi tiri aarzu ka munkir yaar!
pukarti hain mujhe ghanTiyan tiri aise
ki jaisa tera madina ho koi mandir yaar!
Leave a Reply