kaun sa vo zaḳhm-e-dil tha jo tar-o-taza na tha
zindagi men itne gham the jin ka andaza na tha
ham nikal sakte bhi to kyuun kar hisar-e-zat se
sirf divaren hi divaren thiin darvaza na tha
us ki ankhon se numayan thi mohabbat ki chamak
us ke chehre par na.i tahzib ka ghaza na tha
itni shiddat se kabhi aaya na tha us ka ḳhayal
zaḳhm-e-dil pahle kabhi itna tar-o-taza na tha
us ki har ik soch men hai ik musalsal intishar
is tarah bikhra hua is dil ka shiraza na tha
duur kar dega zamane se mujhe mera ḳhulus
mujh ko apni is salahiyat ka andaza na tha
‘arsh’ un ki jhiil si ankhon ka us men kya qusur
Dubne valon ko gahra.i ka andaza na tha
Leave a Reply