tum ko dekha vo ḳhvab tha jaani
niind ka ik naqab tha jaani
ishq ko tum gunah samajhte rahe
ye to kar-e-savab tha jaani
har shikan men ibaraten muzmar
us ka chehra kitab tha jaani
chhoḌ kar tum chale ga.e mujh ko
faisla vo ḳharab tha jaani
zindagi ki ghuTan are tauba
saans lena azaab tha jaani
fitratan tum bhi the ana ke ghulam
main bhi tab.an navab tha jaani
tum mujhe chaho main tumhen chahun
sidha saada hisab tha jaani
Leave a Reply