
Anand Narayan Mulla
dekha kuchh aaj yuun kisi ghaflat-shi.ar ne
main apni umr-e-rafta ko dauḌa pukarne
hangama-e-shabab ki ponchho na sar-guzasht
apne chaman ko luuT liya ḳhud bahar ne
paikan-e-tir zahr men itne bujhe na the
kuchh aur kar diya hai nazar ko ḳhumar ne
tammat-ba-ḳhair dil ki shikayat ki dastan
honTon ko si diya nigah-e-sharmsar ne
himmat paḌi na shaiḳh se kahne ki mohtasib
aa.e ho ik gharib pe ghussa utarne
vo to kaho ki aa.i qafas tak bhi bu-e-gul
varna bhula diya tha hamen to bahar ne
jo tang-e-gul the turra-e-dastar ban ga.e
jo gul the aa.e turbat-e-be-kas sanvarne
aa.e ho kya tumhin mujhe avaz do zara
ankhon ka nuur chhin liya intizar ne
alam-e-rozgar se ‘mulla’ ko kya gharaz
apna bana liya hai use chashm-e-yar ne

Leave a Reply