main sochta tha ki vo zaḳhm bhar gaya ki nahin
khula daricha dar aa.i saba kaha ki nahin
hava ka ruḳh to usi bam-o-dar ki janib hai
pahunch rahi hai vahan tak miri sada ki nahin
zaban pe kuchh na sahi sun ke mera hal-e-tabah
tire zamir men ubhri koi dua ki nahin
labon pe aaj sar-e-bazm aa ga.i thi baat
magar vo teri nigahon ki iltija ki nahin
ḳhud apna haal sunate hijab aata hai
hai bazm men koi derina ashna ki nahin
abhi kuchh is se bhi nazuk maqam a.enge
karun main phir se kahani ki ibtida ki nahin
paḌho na ishq men ‘ḳhurshid’ ham na kahte the
tumhin batao ki ji ka ziyan hua ki nahin
Leave a Reply