ankhon men aaj aansu phir DabDaba rahe hain
ham kal ki astinen ab tak sukha rahe hain
ehsan jata jata kar nashtar laga rahe hain
meri kahaniyan sab mujh ko suna rahe hain
aansu gham-o-ḳhushi ke jalve dikha rahe hain
kuchh jagmaga rahe hain kuchh jhilmila rahe hain
saaqi ke ruThne par rindon men barhami hai
saghar se aaj saghar Takra.e ja rahe hain
ab chahe shakl-e-farda jitni hasin-tar ho
jo din guzar ga.e hain vo yaad aa rahe hain
himmat na haar dena ai hasrat-e-nazara
ik aftab se ham ankhen laḌa rahe hain
vahshi hain kis ke kitna suthra mazaq gham hai
shabnam se ansuon ke qatre mila rahe hain
ankhon par apni rakh kar sahil ki astin ko
ham dil ke Dubne par aansu baha rahe hain
khulta ‘siraj’ kuchh to ye raaz zindagi ka
ye har nafas men kis ke paigham aa rahe hain
Leave a Reply