sohbat-e-mai-kashi sarsari rah ga.i
aur jo miina bhari thi bhari rah ga.i
kya ghazab hai nasheman sulagta raha
aur shaḳh-e-nasheman hari rah ga.i
aḳhirash kaam aa hi ga.i ḳhamushi
lafz-o-ma.ani ki parda-dari rah ga.i
har nazar ban ga.i apne siine ka tiir
ik ḳhalish ban ke dida-dari rah ga.i
nasl-e-adam se itne uThe kirdgar
apne lab si ke paighambari rah ga.i
aadmi ka ḳhuda ban gaya aadmi
davar-e-hashr ki davari rah ga.i
mera har naqsh-e-pa ban gaya sang-e-mil
ḳhizar ki zahmat-e-rahbari rah ga.i
‘shor’ daman-e-gham ho gaya taar taar
har masarrat ki baḳhiya-gari rah ga.i
Leave a Reply