patte patte se naghma-sara kaun hai
ai hava tere andar chhupa kaun hai
phuul shabnam shafaq chandni kahkashan
parda-e-husn se jhankta kaun hai
maslahat-kosh vo to nahin tha magar
nutq ko haath se rokta kaun hai
itne badle hue hain ki hairat men huun
mere pichhe men un se mila kaun hai
na-umidi ne mujh ko muvahhid kiya
ab khuda ke siva aasra kaun hai
ye ‘tapish’ ki ana hai nahin to yahan
gham ko hans hans ke yuun jhelta kaun hai