baḌe ḳhulus se apna bana liya tha mujhe
tumhare hijr ne zinda bacha liya tha mujhe
yaqin jaan bahut Dar gaya tha us din jab
gale se tu ne achanak laga liya tha mujhe
bichhaḌ ga.e hain to saara qusur hai tera
ki tu ne sar pe jo itna chaḌha liya tha mujhe
main itni der kahin baiTh hi nahin sakta
kisi ne haath pakaḌ kar biTha liya tha mujhe
jo is tarah se mujhe ḳharch kar raha hai tu
ye chand roz men kitna kama liya tha mujhe
mujhe ḳhushi hai suhulat se ab marunga main
ki ek baar to us ne bacha liya tha mujhe
vo sard shaam vo barish vo lapata yaden
kisi ne shaal men ‘sahir’ chhupa liya tha mujhe
Leave a Reply