ḳhabar nahin ki safar hai ki hai qayam abhi
tilism-e-shahr men kho.e hain ḳhas-o-am abhi
sada bhi dega kabhi to sukut ka sahra
kisi ko hone to do ḳhud se ham-kalam abhi
jo dekhiye to zamana hai tez-rau kitna
tulu-e-sub.h abhi hai to vaqt-e-sham abhi
vo qaht-e-ab hai dariya bhi saare ḳhushk hue
ravan jo abr hai karta nahin qayam abhi
ab ittifaq se bach kar nikal ga.e to kya
rah-e-talab men to ‘nadir’ hain kitne daam abhi
Leave a Reply