muddaa girya se kuchh ishq ka izhar nahin
kya kahun tum se ki kahne men dil-e-zar nahin
is men kya zillat-e-yusuf sar-e-bazar nahin
samne tere koi us ka kharidar nahin
ho gaya aaj se bas ilm-e-qiyafa batil
sadgi se ye khula tha ki sitamgar nahin
sab tarah se to vo achchhe hain par achchhe kya hain
ik yahi aib hai kaisa ki vafadar nahin
talab-e-bosa-e-rukhsar ko jaane diije
kaun si baat hai jis men tumhen inkar nahin
yaan ye manzur ki matlab ko zaban par laaen
vaan hai angusht labon par ki khabar-dar nahin
puchhte puchhte aa jaao mere ghar ki taraf
hai pata ye ki nishan-e-dar-o-divar nahin
mere rone pe vo hans hans ke ye kahna tera
ki tunuk-zarf se chhupte kabhi asrar nahin
koi pis jaae ki kat jaae bala se un ki
kuchh khabar un ko kisi ki dam-e-raftar nahin
tar-e-anfas hain siine ke numayan varna
dekhne ko bhi gareban men koi taar nahin
sach to ye hai ki hai ‘mushtaq’ adu se achchha
varna banda to kisi ka bhi taraf-dar nahin
Leave a Reply