
Poet
hava ke dosh pe badal ki mushk ḳhali hai
jo sab ko banTta phirta tha ḳhud savali hai
kisi ko maar ke ḳhush ho rahe hain dahshat-gard
kahin pe sham-e-ghariban kahin divali hai
tumhare samne kaise zaban ko jumbish den
tumhare shahr men sach bolna bhi gaali hai

Leave a Reply