jitne paani men koi Duub ke mar sakta hai
utna paani to miri ok men bhar sakta hai
ye to main roz kinare pe khaḌa sochta huun
pyaas baḌh sakti hai dariya bhi utar sakta hai
ik diya aur to kuchh kar nahin sakta lekin
shab ki divar men darvaza to kar sakta hai
husn-e-tartib se rakkhi hui yadon ki taraf
dekhne vaala kisi roz bikhar sakta hai
is ka titli sa badan duur se dekha jaa.e
vo kisi haath men aate hue mar sakta hai
tum zara soch ke us shaḳhs pe takiya karna
vo farishta nahin va.ade se makr sakta hai
dil ko ankhon se ulajhne nahin deta ‘ami’
varna dariya se samundar bhi guzar sakta hai
Leave a Reply