tumhari ḳhushbu thi ham-safar to hamara lahja hi dusra tha
ye aks bhi ashna sa hai kuchh magar vo chehra hi dusra tha
vo adh-khuli khiḌkiyon ka mausam guzar gaya to ye raaz jaana
idhar shanasa.i tak nahin thi udhar taqaza hi dusra tha
gulab khilte the chahaton ke charagh jalte the ahaTon ke
jahan barasti hain vahshaten ab kabhi vo rasta hi dusra tha
kabhi na kahta tha dil hamara ki an.suon ko likhen sitara
juda.iyon ki kasak se pahle ye isti.ara hi dusra tha
udaas lafzon ke raste men ye raushni ki lakir kab thi
mohabbaton ke safar se pahle ghazal ka lahja hi dusra tha
Leave a Reply