achchha hua main vaqt ke mehvar se kaT gaya
qatra guhar bana jo samundar se kaT gaya
zinda jo bach ga.e hain sahen nafraton ke dukh
apna gala to pyaar ke ḳhanjar se kaT gaya
mausam bhi munfa.il hai bahut kya bharun uḌaan
rishta havaon ka mire shahpar se kaT gaya
palkon par apni kaun mujhe ab saja.ega
main huun vo rang jo tire paikar se kaT gaya
vo mel-jol husn o basirat men ab kahan
jo silsila tha phuul ka patthar se kaT gaya
main dhuup ka hisar huun tu chhanv ki fasil
tera mira hisab barabar se kaT gaya
kitna baḌa azaab hai batin ki kashmakash
a.ina sab ka garmi-e-jauhar se kaT gaya
sab apni apni zaat ke zindan men band hain
muddat hui ki rabta bahar se kaT gaya
dekha gaya na mujh se ma.ani ka qatl-e-am
chup-chap main hi lafzon ke lashkar se kaT gaya
us ke ana ki vaz.a thi sab se alag ‘faza’
kya shaḳhs tha ki apne hi tevar se kaT gaya
Leave a Reply