ai dard na tham sar aur utha dil charagari ki raah na tak
dekh ashk-fishan hai ab tujh par sahraon men divana tak
tum laut chuke ho gar to kaho ya baaqi hai arman abhi
pahle hi tumhen ham de baithe hain jaan ka ye nazrana tak
sahra men base sab divane shahron men bhi mahshar hai barpa
allah tiri is khilqat se baaqi na raha virana tak
timsal pe khun-e-nahaq bhi aur atish-e-zulm-o-jaur bhi hai
duubi hui chashm-e-shauq bhi hai khush-rang rukh-e-janana tak
khidki darvaze band karo masnad bhi sameto ai logo
mutrib bhi gae shamen bhi bujhin aur khatm hua afsana tak
Leave a Reply