tu hi bata de jamal-e-ma.ani tira karen intizar kab tak
hayat ka e’tibar ho bhi nigah ka e’tibar kab tak
jahan-e-zulm-o-jafa ke malik koi na ho ashk-bar kab tak
jo dil hi majbur ho chuka ho to aankh par iḳhtiyar kab tak
milenge daman se aa ke aḳhir mire gareban ke taar kab tak
koi bata.e ki ho sakega mira junun puḳhta-kar kab tak
jo ki kisi ne bhi purshish-e-gham to chashm-e-majbur ho ga.i nam
magar dil-e-zabt-azma ke bayan men iḳhtisar kab tak
vo bad-e-sar-sar ki be-qarari vo bijliyan aur vo sho.ala-bari
bas ab qafas hi men mutma.in huun nazar ko shauq-e-bahar kab tak
ḳhizan ke be-kaif daur ka bhi mire gareban ye kuchh to haq hai
junun ko aḳhir bana.e rakkhun niyaz-mand-e-bahar kab tak
qadam qadam par sanam-kada hai nazar nazar men haram ka manzar
tajalliyan hi to hain ye aḳhir ba-qaid-e-didar-e-yar kab tak
Leave a Reply