ishrat-e-hal men andesha-e-farda karna
mere mashrab men nahin ye gham-e-beja karna
fikr-e-anjam nahin farz kisi mai-kash par
haan magar bada-e-aghaz ki parva karna
mahv-e-nazzara zamana hai magar hasil-e-did
aisa asan nahin duniya ka nazara karna
hasil-e-zist hai kya mai-kada-e-hasti men
talḳhi-e-bada-e-ummid gavara karna
dekh ai be-ḳhudi-e-shauq-e-parastish hoshiyar
husn-e-ḳhuddar ko mahfil men na rusva karna
laakh ma.ayub na ho phir bhi nahin mustahsan
hazrat-e-dost men iz.har-e-tamanna karna
sau tariqe hain parastish ke agar zauq ho kuchh
kya baḌi baat hai koi use sajda karna
tark-e-mai kufr hai ai ‘raz’ mire mashrab men
ain iman hai sar-e-saghar-o-mina karna
Leave a Reply