tum se aata nahin juda hona
tum miri aḳhiri saza hona
jis ko tum roz dikh hi jaate ho
us ki qismat hai aaina hona
us ke hone ki ye gavahi hai
in daraḳhton ka yuun hara hona
kitna mushkil hai bachpana ab to
kitna asan tha baḌa hona
main to hal huun kisi ki mushkil ka
mujh ko aaya na mas.ala hona
Leave a Reply