
Azbar Safeer
chuTki kaaTo zara hilao mujhe
main yahin huun yaqin dilao mujhe
roz ik jhiil raah takti hai
khinch leta hai ik alaav mujhe
jannati huun to phir baḌho aage
titliyon aao gudgudao mujhe
main huun dariya so karna paḌta hai
kahin rasta kahin kaTao mujhe
apni raftar kho chuka huun main
kitna mahnga paḌa paḌav mujhe
main kinara huun aur aarzi huun
jaane kab kaaT de bahao mujhe
main huun aḳhir ko jins-e-ḳham ‘azbar’
bech do kauḌiyon ke bhaav mujhe

Leave a Reply