main jab bhi koi manzar dekhta huun
zara auron se haT kar dekhta huun
kabhi main dekhta huun us ki rahmat
kabhi main apni chadar dekhta huun
nazar ka zaviya badla hai jab se
main kuuze men samundar dekhta huun
kabhi mere liye the phuul jin men
ab un hathon men patthar dekhta huun
sabhi hain mubtala-e-ḳhud-farebi
ajab duniya ka manzar dekhta huun
nahin badlav ke asar kuchh bhi
abhi halat abtar dekhta huun
muqaddar men likhi viraniyon men
zara sa rang bhar kar dekhta huun
nazar aata hai madfan ḳhvahishon ka
kabhi jab apne andar dekhta huun
suna hai aag hai us ka sarapa
chalo bahon men bhar kar dekhta huun
basirat mujh men hai ‘nayab’ aisi
main har qatre men gauhar dekhta huun
Leave a Reply