har ik dil yahan hai mohabbat se aari
tumhin ko mubarak ye duniya tumhari
unhen ham se baḌh ke hai ghairon ki parva
nibahenge kab tak hamin vaz.a-dari
raha hai yahan par na koi rahega
jo hai aaj us ki to kal apni baari
abhi tak na badli mohabbat ki qismat
abhi tak mohabbat men hai be-qarari
qadam-ranja farma rahe hain vo aḳhir
ḳhabar la rahi hai ye bad-e-bahari
qasam hai ye tum ko na aansu bahana
kabhi yaad aa.e jo tum ko hamari
na badla na badla hasinon ka sheva
vahi tir-o-nashtar vahi dil-figari
huun mamnun-e-ehsan ḳhuda janta hai
hai shamil tabi.at men bhi sharmsari
tire ‘soz’ ki yuun basar ho rahi hai
na ghairon se matlab na apnon se yaari
Leave a Reply