vafa ki tash.hir karne vaala fareb-gar hai sitam to ye hai
nigah-e-yaran men phir bhi vo shaḳhs mo’tabar hai sitam to ye hai
ham aise sada-dilon ko tujh se milegi dad-e-ḳhulus kaise
zamana-sazi ki ḳhu tire ahd men hunar hai sitam to ye hai
agar tujhe ilm hi na hota to phir kabhi ham gila na karte
sukun kyuun chhin gaya hamara tujhe ḳhabar hai sitam to ye hai
karishma-e-husn daman-e-dil ko khinchta hai qadam qadam par
sata.ish-e-ḳhal-o-ḳhad ki mi.ad muḳhtasar hai sitam to ye hai
khula hai bab-e-qafas to is par ḳhushi ka iz.har kar rahe ho
mili hai jis ko riha.i mahrum-e-bal-o-par hai sitam to ye hai
Leave a Reply