chashm-e-mai-gun vahan sharab laziz
dil-e-sozan yahan kabab laziz
lab-e-shirin ke bose paae hain
ham ne dekha hai aaj khvab laziz
dahan-e-zakhm honth chatte hain
us ki talvar men hai aab laziz
kahan talkhi kahan ye mitha-pan
is araq se hai kab gulab laziz
us ke seb-e-zaqan ke ashiq hain
hoga mahshar ke din hisab laziz
mithi baton men vasl ka inkar
hai nae tarah ka javab laziz
kaise shane ke daant padte hain
hai jo vo zulf mushk-e-nab laziz
turshiyan kis maze maze ki hain
hai hamen yaar ka shabab laziz
mar na jaae sanam mariz-e-hijr
sharbat-e-vasl de shitab laziz
ho sakega na vasf-e-seb-e-zaqan
ai ‘sakhi’ hai ye be-hisab laziz
Leave a Reply