kisi ḳhamosh chehre par vo itminan ka manzar
jigar ko kaTta hai ab bhi qabristan ka manzar
azab-e-shiddat-e-karb-e-juda.i ko vo kya jaane
ki dekha hi na ho jis ne nikalti jaan ka manzar
uThi kursi kaTa sabza gire patte uḌi chiḌiyan
tumhare ba.ad kya se kya hua dalan ka manzar
kahan huun kaun huun ye puchhta phirta huun logon se
ki mujh se kho gaya shayad miri pahchan ka manzar
darida-naqsh zaḳhmi lafz larzida qataron men
lahu men kis ne ranga hai mire divan ka manzar
hamare qatl par chashm-e-falak men ḳhuun utrega
fazaon men sajega surḳh se tufan ka manzar
naha ke pyaar ki barish men us ne dhuup jab pahni
nazar men ghul gaya qaus-e-quzah ke thaan ka manzar
darun-e-zehn jab zeba.ish-e-afkar hi na ho
gharon men kya hai phir ara.ish-e-saman ka manzar
vo jitne diip andar hain vo ankhon men hi jalte hain
aur ankhen hi dikhati hain dil-e-viran ka manzar
samajhta huun tiri saari kahani main ki kya hogi
hai dikhne men agar aisa tire unvan ka manzar
bhari duniya ka ‘tahir’ chappa chappa chhan maara hai
nahin paaya kahin bhi shahr-e-pakistan ka manzar
Leave a Reply