daman ki panahon se mukar kyon nahin jaate
aansu miri palkon pe Thahar kyon nahin jaate
ham log azal se hain asir-e-shab-e-zulmat
tum chand ho to chand-nagar kyon nahin jaate
bachchon ke masa.il hain mahajan ke taqaze
ye ham hi samajhte hain ki ghar kyon nahin jaate
kyon karte ho iqrar bhi inkar ki surat
auron ki tarah saaf mukar kyon nahin jaate
maana ki har ik moḌ pe batil ki hai divar
tum rah-e-haqiqat se guzar kyon nahin jaate
chalna hai agar apne hi pairon pe tumhen ‘shan’
tum vaqt ke kandhe se utar kyon nahin jaate
Leave a Reply