taaza azar ka arman kahan jaata hai
phir sata le tire qurban kahan jaata hai
kis pe dil aaya kahan aaya bata ai naseh
tu miri tarah pareshan kahan jaata hai
khanqahon pe hua pir-e-mughan ka qabza
aaj mai-khane ka saman kahan jaata hai
dil salamat nahin aane ka ‘mubarak’ ba-khuda
are nadan kaha maan kahan jaata hai
Leave a Reply