vaaiz piye hue huun khuda ke liye na chhed
dhadka mita hua hai azaab o savab ka
ya-rab unhen bahisht men jaana na ho nasib
jo lutf utha chuke hain shab-e-mahtab ka
kya kya bigad rahe hain vo ban ban ke bazm men
ashob-e-rozgar hai aalam itaab ka
phir chahta hai dil ki vahi tak-jhank ho
phad dhundhta huun lutf saval o javab ka
zahid ko bada-khvari ka chaska laga diya
ye kaam umr bhar men hua hai savab ka
shokhi to ye hai bazm men baithe hain is tarah
goya khincha hua hai muraqqaa hijab ka
Leave a Reply