• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tumhein Shab-E-Wada dard-E-Sar Tha Ye Sab Hain Be-Etibar Baaten

Tumhein Shab-E-Wada dard-E-Sar Tha Ye Sab Hain Be-Etibar Baaten

poet

tumhen shab-e-vaada dard-e-sar tha ye sab hain be-e’tibar baten

yaqin na aaega ham ko hargiz banao go tum hazar baten

nahin jo manzur tum ko milna to kyuun nahin saaf saaf kahte

samajh men aati nahin hamare karo na tum pechdar baten

uthi hai kaali ghata falak par hai saqi-e-mah-vash baghal men

bahak bahak kar hain kya maze se bana rahe bada-khvar baten

huiin hain jis din se chaar ankhen tumhari ai yaar ‘mashriqi’ se

yahi tamanna hai baith kar tum suno hamari do-char baten

hai aai mushkil se vasl ki shab ki jis ki muddat se thi tamanna

jo main ne shikve kiye the us ki karo na tum baar baar baten

ye kya mahal hai ki aaj karte ho shaikh ji zikr-e-zohd-o-taqva

yahi hai vajib ki hon gul-o-mul ki vaqt-e-fasl-e-bahar baten

jo aaj aae ho mere ghar par to hai ye zikr-e-raqib kaisa

na kijiye ‘mashriqi’ se sahab ki hain ye sab nagavar baten

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chand Ne Aaj Jab Ek Nam Liya aaKHir-E-Shab

Ek KHwab Ke Mauhum Nishan DhunD Raha Tha

poet

Band Rakhta Hun Bas Ye Jaan Ke Munh

varsha-gorchhia

dua

Nahin Ho Tum to Aisa Lag Raha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet