qahr tha hijrat men ḳhud ko be-aman karna tira
dasht-e-namahfuz aur us men makan karna tira
is kahani men mira kirdar hi goya na tha
yuun haqiqat ko miri be-dastan karna tira
chhin gaya akash ka ḳhema to sham-e-hijr men
kuchh dhuen ke badalon ko asman karna tira
uf! ye majburi ki jab saare nasheman jal ga.e
TuTne vaale shajar par ashiyan karna tira
bhulna mushkil hai vo manzar ki mujh ko ek din
sar pe rakh kar haath yuun be-sa.eban karna tira
mustaqil la-hasili ko apna hasil maan kar
zindagi ko lamha lamha ra.egan karna tira
bad-gumani ki ḳhalish paida hui thi jin dinon
un dinon ko mere apne darmiyan karna tira
Leave a Reply