kis ko suna.un hal-e-gham koi gham-ashna nahin
aisa mila hai dard-e-dil jis ki koi dava nahin
meri namaz-e-ishq ko shaiḳh samajh sakega kya
us ne dar-e-habib pe sajda kabhi kiya nahin
mujh ko ḳhuda se ashna koi bhala karega kya
main to sanam-parast huun mera koi ḳhuda nahin
kaise ada karun namaz kaise jhuka.un apna sar
sehn-e-haram men shaiḳh-ji yaar ka naqsh-e-pa nahin
kya hain usul-e-bandagi ahl-e-junun ko kya ḳhabar
sajda rava kahan pe hai sajda kahan rava nahin
mujh se shuru-e-ishq men mil ke jo tum bichhaḌ ga.e
baat hai ye nasib ki tum se koi gila nahin
mujh ko rah-e-hayat men log bahut mile magar
un se mila de jo mujhe aisa koi mila nahin
apna bana ke ai sanam tum ne jo aankh pher li
aisa bujha charagh-e-dil phir ye kabhi jala nahin
ishq ki shaan marhaba ishq hai sunnat-e-ḳhuda
ishq men jo bhi miT gaya us ko kabhi ‘fana’ nahin
Leave a Reply