dil ki qismat ki tire dil men samo bhi na saka
aur ta-zist kisi aur ka ho bhi na saka
gham-e-paiham ne kabhi fursat-e-ehsas na di
kya javani thi ki ji-bhar ke main ro bhi na saka
paar bhi kar na saka bahr-e-junun se kam-baḳht
aur dil ziist ki kashti ko Dubo bhi na saka
umr-bhar ahd-e-vafa tishna-e-takmil raha
main use pa na saka vo mujhe kho bhi na saka
jagne bhi na diya shauq-e-tasavvur ne kabhi
aur ‘maz.har’ main kabhi raat ko so bhi na saka
Leave a Reply