dard-e-dil paida karen ya dard-e-sar paida karen
meri baten jaane un par kya asar paida karen
zindagi un ki hai jo gulshan men apne vaste
ashiyan ba-vasf-e-sad-barq-o-sharar paida karen
aa.iye ham rahbar-o-rahzan se ho kar be-niyaz
manzil-e-maqsud tak ḳhud rahguzar paida karen
aa ki phir de kar payam-e-nau mazaq-e-did ko
har nazar men ek duniya-e-digar paida karen
khul hi ja.egi haqiqat alam-e-azdad ki
dida-e-dil imtiyaz-e-ḳhair-o-shar paida karen
un ko pa kar ḳhud ko kho dena to hai ik aam baat
un ko pa kar ḳhud ko paane ka hunar paida karen
ah-e-be-tasir men ‘talib’ asar aa ja.ega
dard-e-dil paida karen dard-e-jigar paida karen
Leave a Reply