bojh uTha.e hue din raat kahan tak jaata
zindagani men tire saath kahan tak jaata
muḳhtasar ye ki main bosa bhi ghanimat samjha
yuun bhi dauran-e-mulaqat kahan tak jaata
sub.h hote hi sabhi ghar ko ravana honge
qissa-e-daur-e-ḳharabat kahan tak jaata
thak gaya tha main tire naam ko japte japte
le ke honTon pe yahi baat kahan tak jaata
chand taare to mire bas men nahin hain ‘azar’
phuul laaya huun mira haath kahan tak jaata
Leave a Reply