dil Kun Tujh Baj Be-Qarari Hai

dil kuun tujh baaj be-qarari hai

chashm ka kaam ashk-bari hai

shab-e-furqat men monis o hamdam

be-qararon kuun ah-o-zari hai

ai azizan mujhe nahin bardasht

sang-dil ka firaq bhari hai

faiz suun tujh firaq ke sajan

chashm-e-giryan ka kaam jaari hai

fauqiyat le gaya huun bulbul suun

garche mansab men do-hazari hai

ishq-bazon ke haq men qatil ki

har nigah khanjar o katari hai

atish-e-hijr-e-lala-ru suun ‘vali’

daagh siine men yadgari hai

Leave a Comment