kaam himmat se javan mard agar leta hai
saanp ko maar ke ganjina-e-zar leta hai
na-gavara ko jo karta hai gavara insan
zahr pi kar maza-e-shir-o-shakar leta hai
haale men maah ka hota hai chakoron ko yaqin
kabhi angdai jo vo rashk-e-qamar leta hai
vo zubun-bakht shajar huun main ki dahqan mera
pichhe bota hai mujhe pahle tabar leta hai
manzil-e-faqr-o-fana ja-e-adab hai ghafil
badshah takht se yaan apne utar leta hai
ganj-e-pinhan hain tasarruf men bani-adam ke
kaan se laal ye dariya se guhar leta hai
nazar aa jaata hai ai gul jise rukhsar tira
phulon se daman-e-nazzara vo bhar leta hai
aql kar deti hai insan ki jahalat zaail
maut se jaan chhupane ko sipar leta hai
yaad rakhta hai adam men koi saghar-kash use
hichkiyan shisha-e-mai sham-o-sahar leta hai
ghairat-e-nala-o-fariyad na kho ai ‘atish’
ashna koi nahin kaun khabar leta hai
Leave a Reply