dil shahid-e-rah-e-daman na hua tha so hua
tukde tukde jo gareban na hua tha so hua
barq be-nur hai us rukh ki chamak ke aage
alam-e-nur ka insan na hua tha so hua
rone par mere hua hans ke vo gul sharminda
ghuncha saan sar-ba-gareban na hua tha so hua
main ne rangin na kiya us ka tadap kar daman
sar-e-jallad pe ehsan na hua tha so hua
ho gaya dekh ke qaazi bhi taraf-dar us ka
be-gunah khun-e-musalman na hua tha so hua
har zaban par miri rusvai ka afsana hai
nuskha-e-shauq pareshan na hua tha so hua
araq-aluda jabin dekh kai dil duub gaya
shabnam-e-bagh se tufan na hua tha so hua
qatl kar ke mujhe talvar ko toda us ne
khun-e-nahaq se pasheman na hua tha so hua
yaar ke ru-e-kitabi ki karun kya tarif
baad quran ke jo quran na hua tha so hua
aansu ankhon se nikalta hai so chingari hai
parda-e-dil se numayan na hua tha so hua
atish-e-ishq se hai daagh sarapa mera
aadmi sarv-e-charaghan na hua tha so hua
gard-e-rah ban ke hua sandal-e-peshani-e-yar
zarra khurshid-e-darakhshan na hua tha so hua
pahron hi misraa-e-sauda hai rulata ‘atish’
tujhe ai dida-e-giryan na hua tha so hua
Leave a Reply