kis qadar mas.ala-e-sham-o-sahar badla hai
jab zara zaviya-e-fikr-o-nazar badla hai
samt-e-manzil ka ta.ayyun nahin do gaam ki baat
kitne moḌ aa.e hain jab tarz-e-safar badla hai
apni avaz pe ham chaunk uThe hain ḳhud bhi
ik zara lahja-e-ehsas agar badla hai
dasht men bhi kabhi is tarah na ji lagta tha
ab ke divangi badli hai ki ghar badla hai
aa gaya hai rasan-o-dar ke ma.amul men farq
jab kabhi zabta-e-gardan-o-sar badla hai
ab vo yak-rangi-e-mahaul ki talḳhi to nahin
ham ne mai badli na ho jaam magar badla hai
inqalab aaya hai is tarah bhi ghar men akasr
dar se divar na divar se dar badla hai
Leave a Reply