main dar pe tire dar-ba-dari se nikal aaya
chal kar ba-durusti ghalati se nikal aaya
ab mas.ala ye hai tire mahvar men kab utrun
main apni hadon se to kabhi se nikal aaya
kab mujh ko nikalna tha ye hairat hai falak ko
maidan-e-zamin men main abhi se nikal aaya
is tira-shabi men kisi jugnu ki chamak hai
ya jugnu ḳhud is tira-shabi se nikal aaya
ai arsh-e-mo.alla ke makin tujh ko ḳhabar hai
main teri taraf be-ḳhabari se nikal aaya
dhyan aaya mujhe raat ki tanha-safari ka
yak-dam koi saaya sa gali se nikal aaya
sau pech-e-rah-e-rahbari tha ki main jis se
apne hunar-e-rahravi se nikal aaya
vo lamha-e-avval ki tu jab aankh men utra
vo vaqt bhi kya tha ki ghaḌi se nikal aaya
Leave a Reply