dilli! tiri chhanv badi qahri
miri puuri kaaya pighal rahi
mujhe gale laga kar gali gali
dhire se kahe” tu kaun hai ri?”
main kaun huun maan tiri jaai huun
par bhes nae se aai huun
main ramti pahunchi apnon tak
par priit parai laai huun
tarikh ki ghor guphaon men
shayad paae pahchan miri
tha biij men des ka pyaar ghula
pardes men kya kya bel chadhi
nas nas men lahu to tera hai
par aansu mere apne hain
honton par rahi tiri boli
par nain men sindh ke sapne hain
man maati jamuna ghaat ki thi
par samajh zara us ki dhadkan
is men karunjhar ki siski
is men ho ke dalta chaltan!
tire angan mitha kuaan hanse
kya phal paae mira man rogi
ik riit nagar se moh mira
baste hain jahan pyase jogi
tira mujh se kokh ka naata hai
mire man ki piida jaan zara
vo ruup dikhaun tujhe kaise
jis par sab tan man vaar diya
kya giit hain vo koh-yaron ke
kya ghail un ki baani hai
kya laaj rangi vo phati chadar
jo tharki tapat ne taani hai
vo ghaav ghaav tan un ke
par nas nas men agni dahki
vo baat ghiri sanginon se
aur jhapat shikari kutton ki
hain jin ke haath par angare
main un banjaron ki chiri
maan un ke aage kos kade
aur sar pe kadakti do-pahri
main bandi bandhun ki bandi
vo bandi-khane todenge
hai jin hathon men haath diya
so saari salakhen modenge
tu sada suhagan ho maan rii!
mujhe apni tod nibhana hai
ri dilli chhu kar charan tire
mujh ko vapas mud jaana hai
Leave a Reply