• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Us Sang-E-Astan Pe Jabin-E-Niyaz Hai

Us Sang-E-Astan Pe Jabin-E-Niyaz Hai

us sang-e-astan pe jabin-e-niyaz hai

vo apni ja-namaz hai aur ye namaz hai

na-saz hai jo ham se usi se ye saaz hai

kya ḳhuub dil hai vaah hamen jis pe naaz hai

pahuncha hai shab kamand laga kar vahan raqib

sach hai haram-zade ki rassi daraz hai

us but pe gar ḳhuda bhi ho ashiq to aa.e rashk

har-chand janta huun ki vo pak-baz hai

maddah-e-ḳhal-e-ru-e-butan huun mujhe ḳhuda

baḳhshe to kya ajab ki vo nukta-navaz hai

Darta huun ḳhanjar us ka na bah jaa.e ho ke aab

mere gale men nala-e-ahan-gudaz hai

darvaza mai-kade ka na kar band mohtasib

zalim ḳhuda se Dar ki dar-e-tauba baaz hai

ḳhana-ḳharabiyan dil-e-bimar-e-gham ki dekh

vo hi dava ḳharab hai jo ḳhana-saz hai

shabnam ki ja-e-gul se Tapakti hain shoḳhiyan

gulshan men kis ki ḳhak-e-shahidan-e-naz hai

aah o fughan na kar jo khule ‘zauq’ dil ka haal

har naala ik kalid-e-dar-e-ganj-e-raz hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Ghazal Ka Harf-E-Imkan Masnawi Ka KHwab Hun

Gunahon Se Nashw-O-Numa Pa Gaya Dil

poet

Begana Bana Deta Hai Andaz-E-Bayan Aur

jigar-moradabadi

Kisi Surat Numud-E-Soz-E-Pinhani Nahin Jati

poet

Nafas Nafas Mein Tera Ehtiram Le Ke Chale

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet