tumhari shart-e-mohabbat kabhi vafa na hui
ye kya hui tumhin kah do agar jafa na hui
qadam qadam pe qadam ladkhadae jaate the
tamam umr bhi tai manzil-e-vafa na hui
tumhin kaho tumhen na-ashna kahen na kahen
ki ashna se ada rasm-e-ashna na hui
tiri ada ki qasam hai tiri ada ke siva
pasand aur kisi ki hamen ada na hui
hamin ko dekh ke khanjar nikalte the aap
hamare baad to ye rasm phir ada na hui
khuda ne rakh liya naaz o niyaz ka parda
ki roz-e-hashr miri un ki barmala na hui
Leave a Reply