koi patthar koi guhar kyuun hai
farq logon men is qadar kyuun hai
tu mila hai to ye khayal aaya
zindagi itni mukhtasar kyuun hai
jab tujhe laut kar nahin aana
muntazir meri chashm-e-tar kyuun hai
us ki ankhen kahin sadaf to nahin
us ka har ashk hi guhar kyuun hai
raat pahle hi kyuun nahin dhalti
tirgi shab ki ta-sahar kyuun hai
ye bhi kaisa azaab de daala
hai mohabbat to is qadar kyuun hai
tu nahin hai to roz-o-shab kaise
shaam kyuun aa gai sahar kyuun hai
kyuun ravana hai har ghadi duniya
zindagi mustaqil safar kyuun hai
main to ik mustaqil musafir huun
tu bhala mera ham-safar kyuun hai
tujhe milna nahin kisi se ‘adim’
phir bichhadne ka tujh ko dar kyuun hai
Leave a Reply