• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Lamha Nam-Dida Rahne Ki Aadat

Har Lamha Nam-Dida Rahne Ki Aadat

har lamha nam-dida rahne ki aadat

le Duubi ranjida rahne ki aadat

ab apna chehra begana lagta hai

ham ko thi sanjida rahne ki aadat

aḳhir ham ko be-zari tak le aa.i

har shai par girvida rahne ki aadat

rafta rafta uryani tak aa pahunche

jin ko thi poshida rahne ki aadat

dikh jaate hain yuun hi kuchh rangin manzar

achchhi hai ḳhvabida rahne ki aadat

ham haami hain sidhi-sadi baton ke

aur us ko pechida rahne ki aadat

aḳhir-kar varaq ke chithḌe kar degi

har mausam bosida rahne ki aadat

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bahadur-shah-zafar

Na daim Gham Hai Ne Ishrat Kabhi Yun Hai Kabhi Wun Hai

abdul-hamid-adam

Goriyon Kaliyon Ne Mar diya

Sari KHilqat Ek Taraf Thi Aur Diwana Ek Taraf

abdullah-javed

Ek Sail-e-Be-Panah Ki Surat Rawan Hai Waqt

Phir Ek Dagh Charagh-E-Safar Banate Hue

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet