dil-e-nalan tiri aahon men asar hai ki nahin
be-qarari jo idhar hai vo udhar hai ki nahin
sho.ala-e-ishq jigar tak to bhaḌak uTTha hai
kuchh ḳhabar bhi tujhe ai dida-e-tar hai ki nahin
ham bata.en tumhen is shoḳh ke parda ka sabab
dekhna ye hai tumhen tab-e-nazar hai ki nahin
qais ye chak-gareban to hai vahshat ki dalil
chak-dil hai ki nahin chak-jigar hai ki nahin
us ki surat se huun sanna-e-azal ka qaa.il
jalva-e-qudrat-e-haq husn-e-bashar hai ki nahin
ka.aba-e-dil pe mire roz chaḌha.i kaisi
ai buto kuchh tumhen allah ka Dar hai ki nahin
lan-tarani ko zara ghaur se samjho muusa
jalva-e-hashr tumhen madd-e-nazar hai ki nahin
dair men DhunDhta huun ka.aba-nashin ko zahid
vahi jalva jo udhar hai vo idhar hai ki nahin
qatl-e-ashiq to tiri aankh ka jaada Thahra
lab-e-isa ka tire lab men asar hai ki nahin
mere phulon se bhi daman ko bachaya tum ne
is taghaful ki bhi kuchh tum ko ḳhabar hai ki nahin
sham.a ki nazr idhar jaan patangon ki hui
vaqf-e-gul-gir idhar sham.a ka sar hai ki nahin
shab ko barse the mire dida-e-tar tham tham kar
sub.h ko dekhiye to ghair ka ghar hai ki nahin
haath ḳhali na dikhao pa.e qatl-e-dushman
tegh bhuul aa.e to kya tegh-e-nazar hai ki nahin
dam to lene do nakirain thaka-manda huun
ruḳh pe dekho to mire gard-e-safar hai ki nahin
nala-e-dil to mira shor-e-qayamat hai magar
nazuki teri mujhe madd-e-nazar hai ki nahin
ghuncha-e-dil se shab-e-gham ye sada aati thi
main huun pazhmurda kahin bad-e-sahar hai ki nahin
atishin aah ka hai sang-dilon par bhi asar
toḌ kar dekh lo patthar men sharar hai ki nahin
tuur ki aag to bujhte hi bujhegi yarab
talib-e-did ko apni bhi ḳhabar hai ki nahin
sab se aage hai gunahgaron ki saf mahshar men
qabil-e-naz mira daman-e-tar hai ki nahin
ham ne ‘rasiḳh’ tujhe mahfil men bahut yaad kiya
us ne puchha tha koi tufta-jigar hai ki nahin
Leave a Reply